ye paikar-e-jamāl to itaab ke liye nahīñ
mire ḳhudā ye aadmī azaab ke liye nahīñ
tujhe hai shauq-e-bandagī bahisht ke ḳhayāl se
magar mirī ibādateñ savāb ke liye nahīñ
ye mujh se ehtirāz kyuuñ ye mujh se ijtināb kyuuñ
savāl tujh se hai magar javāb ke liye nahīñ
janāb kyuuñ udaas haiñ janāb kyuuñ malūl haiñ
ye ġham to haiñ mire liye janāb ke liye nahīñ
jise pasand aa.egā vo toḌ legā shāḳh se
amaan apne baaġh meñ gulāb ke liye nahīñ
jo ġham uThā chukā hai to unheñ na ab shumār kar
ye muḳhtasar sī zindagī hisāb ke liye nahīñ
zamīñ pe 'shāhid'-e-hazīñ haqīqateñ talāsh kar
ye dasht-e-zindagī kisī sarāb ke liye nahīñ