do-chār gaam pās-e-rifāqat na kar sake
ham phir bhī un se koī shikāyat na kar sake
kyā aise ham-safar pe bharosa kare koī
jo dil ko bhī sharīk-e-masāfat na kar sake
insāñ kā ehtirām thā itnā hameñ aziiz
ham apne dushmanoñ se bhī nafrat na kar sake
ham log to kuchh aise qadāmat-parast haiñ
paidā kisī bhī kaam meñ jiddat na kar sake
chunte ho aisā qāfila sālār kis liye
jo ahl-e-kārvāñ kī hifāzat na kar sake
ham aise hukmarān the be-iḳhtiyār se
is dil kī saltanat pe hukūmat na kar sake
nārāz ham se haiñ vo hamāre sukūt par
lab kholne kī ḳhud bhī jo himmat na kar sake
'shāhid' dayār-e-dil meñ añdherā hai chaar sū
raushan koī charāġh-e-mohabbat na kar sake