har shaḳhs yahāñ mujh ko bīmār sā lagtā hai
is shahr meñ ab jiinā āzār sā lagtā hai
sochoñ kī dukāneñ haiñ yādoñ ke khilaune haiñ
siine meñ mire koī bāzār sā lagtā hai
dekhā tumheñ jab se ehsās ke āñgan meñ
har jazba-e-ḳhvābīda bedār sā lagtā hai
ab rāh-e-mohabbat meñ chalnā hai bahut mushkil
is raah kā har patthar kohsār sā lagtā hai
maanā ki tire lab par alfāz to achchhe haiñ
lekin ye tirā lahja talvār sā lagtā hai
kuchh shahr ke dukhḌe haiñ kuchh ghar ke masā.il haiñ
mujh ko ye tirā ḳhat bhī aḳhbār sā lagtā hai
hālāt ne bhar dī hai talḳhī sī tabī.at meñ
ab kār-e-suḳhan-sāzī dushvār sā lagtā hai
dar-asl vo kaisā hai ye ba.ad kī bāteñ haiñ
chehre se magar 'shāhid' ġham-ḳhvār sā lagtā hai