Hafeez Shahid

is shahr mein nishana-e-qatil hami to hain

Hafeez Shahid

is shahr meñ nishāna-e-qātil hamī to haiñ
kuchh jābiroñ kī raah meñ haa.il hamī to haiñ
jo bechne chale haiñ matā-e-bahār ko
un dushmanoñ ke madd-e-muqābil hamī to haiñ
gul-kārī-e-chaman meñ hamārā lahū bhī hai
rañgīnī-e-bahār meñ shāmil hamī to haiñ
jo daulat-e-hunar ke talabgār haiñ abhī
ai rabb-e-harf-o-saut vasā.el hamī to haiñ
jo kho ga.e haiñ pech-o-ḳham-e-rahguzār meñ
un sab ke muntazir sar-e-manzil hamī to haiñ
ik umr se haiñ halqa-e-girdāb meñ ghire
nā-āshnā-e-qurbat-e-sāhil hamī to haiñ
ham hī se hai ye raunaq-e-bazm-e-hayāt bhī
is kārobār-e-vaqt kā hāsil hamī to haiñ
us ne atā kiyā hai ġham-e-do-jahāñ hameñ
us kī navāzishāt ke qābil hamī to haiñ
ham-rāhyān-e-jāda-e-duniyā se kyā gila
'shāhid' ḳhud apnī zaat se ġhāfil hamī to haiñ
Top Urdushayar.com