Hafeez Shahid

fikr-e-sud-o-ziyan mein rahta hun

Hafeez Shahid

fikr-e-sūd-o-ziyāñ meñ rahtā huuñ
maiñ bhī is ḳhāk-dāñ meñ rahtā huuñ
nīlgūñ āsmān ke nīche
ḳhema-e-jism-o-jāñ meñ rahtā huuñ
maiñ huuñ āzād kab zamāne meñ
qaid-e-vahm-o-gumāñ meñ rahtā huuñ
maiñ mohabbat kī raushnī ban kar
vaqt kī kahkashāñ meñ rahtā huuñ
maiñ bahāroñ ke rañg meñ Dhal kar
manzar-e-bostāñ meñ rahtā huuñ
jaane kyā baat hai ki maiñ tanhā
mahfil-e-dostāñ meñ rahtā huuñ
apne būḌhe vajūd ke andar
ik shikasta makāñ meñ rahtā huuñ
fikr-e-itlāf-e-zindagī kaisā
maiñ ajal kī amaañ meñ rahtā huuñ
maiñ bagūloñ ke darmiyāñ 'shāhid'
dasht-e-asr-e-ravāñ meñ rahtā huuñ
Top Urdushayar.com