aaj bhī mushkilāt kam to nahīñ
bārish-e-hādsāt kam to nahīñ
ek sūraj ġhurūb hone se
raunaq-e-kā.enāt kam to nahīñ
kyuuñ shikāyat hai mausam-e-gul se
shāḳh par phūl-pāt kam to nahīñ
umr bhar kī rafāqatoñ ke ba.ad
hijr kī ek raat kam to nahīñ
us kī marzī se chaar din jiinā
is qadar bhī hayāt kam to nahīñ
maiñ tirī zaat hī kā hissa huuñ
mujh meñ terī sifāt kam to nahīñ
vaqt se kyā gila karūñ 'shāhid'
vaqt kā iltifāt kam to nahīñ