kaThin hālāt meñ apne irādoñ ko javāñ rakhnā
hameñ aatā hai dil meñ sho.ala-e-ġham ko nihāñ rakhnā
akele ghar meñ kaise vaqt kāTo.ge tan-e-tanhā
koī tasvīr laTkā kar sar-e-dīvār-e-jāñ rakhnā
hamārī fikr tum chhoḌo hameñ ye kaam aatā hai
añdheroñ meñ basar karnā nazar meñ kahkashāñ rakhnā
ajal aur zindagī kī dostī ik harf-e-bātil hai
bahut dushvār hai paanī pe buniyād-e-makāñ rakhnā
chaman par ek din fasl-e-ḳhizāñ kā raaj bhī hogā
abas hai dil meñ armān-e-bahār-e-jāvedāñ rakhnā
na jaane is meñ poshīda haiñ us kī hikmateñ kyā kyā
hamesha gardishoñ meñ ye zamīn-o-āsmāñ rakhnā
kahāñ āsān hai ahl-e-suḳhan kī bhiiḌ meñ 'shāhid'
judā auroñ se apnā tarz-e-guftār-o-bayāñ rakhnā