Hafeez Shahid

ab kya kahen jo mausam-e-gulshan ka haal hai

Hafeez Shahid

ab kyā kaheñ jo mausam-e-gulshan kā haal hai
phūloñ se rābta na sabā kā ḳhayāl hai
har aarzū kī aañkh meñ aañsū lahū ke haiñ
kis kā ye dil ke shahr meñ yaum-e-visāl hai
mujh ko kiyā thā qaidī-e-taqdīr kis liye
qudrat se intizār-e-javāb-o-savāl hai
jazboñ kī anjuman meñ usī kī hai raushnī
gul-hā-e-ārzū meñ usī kā jamāl hai
jo buḳhl se kiyā hai ikaTThā tamām umr
terā nahīñ hai vo tire beToñ kā maal hai
har gosha-e-zamīñ pe zarā ġhaur se paḌho
likkhī jo dāstān-e-urūj-o-zavāl hai
'shāhid' vo pūchhte haiñ mirā haal kyā kahūñ
jaisā thā pichhle saal vahī ab ke saal hai
Top Urdushayar.com