paḌh rahā huuñ nisāb ho jaise
us kā chehra kitāb ho jaise
yuuñ basar kar rahā huuñ duniyā meñ
zindagānī azaab ho jaise
shāḳh-e-qāmat pe vo hasīñ chehra
ek taaza gulāb ho jaise
yuuñ vo rahtā hai merī āñkhoñ meñ
merī āñkhoñ kā ḳhvāb ho jaise
vo mire baḳht ke ḳhazīne meñ
gauhar-e-lā-javāb ho jaise
us kī hastī kitāb-e-hastī kā
ik hasīñ intisāb ho jaise
zahr-ālām dil ke sāġhar meñ
ik purānī sharāb ho jaise
jhuuT ab bolte haiñ log aise
ye bhī kār-e-savāb ho jaise
reg-e-dasht-e-ḳhayāl meñ 'shāhid'
yaad us kī sarāb ho jaise