har samt zindagī kā tamāshā bhī ḳhuub hai
duniyā bhī ḳhuub raunaq-e-duniyā bhī ḳhuub hai
jis shahr meñ kisī ko kisī kī ḳhabar nahīñ
us shahar-e-lā-javāb meñ jiinā bhī ḳhuub hai
mai-ḳhāna-e-hayāt kā ahvāl kyā likhūñ
saaqī bhī ḳhuub sāġhar-e-sahbā bhī ḳhuub hai
pī kar sharāb gum maiñ rahūñ apne hosh meñ
ai zindagī ye terā taqāzā bhī ḳhuub hai
dekhā hai maiñ ne us ke ziyāñ meñ bhī fā.eda
bāzār-e-ārzū kā ḳhasārā bhī ḳhuub hai
hotī hai avvalīñ hī mulāqāt-e-āḳhirī
insān kā ye maut se rishta bhī ḳhuub hai
muddat se chal rahā huuñ magar tai na kar sakā
'shāhid' ye rāh-e-rāst-e-tamannā bhī ḳhuub hai