havā ḳhāmosh patte so rahe haiñ
abhī shāḳhoñ pe ġhunche so rahe haiñ
sar-e-dīvār sūraj tap rahā hai
pas-e-dīvār saa.e so rahe haiñ
dar-e-dil par abhī dastak na denā
añdherā hai ujāle so rahe haiñ
havā-e-tund tū bhī jā ke so jā
daraḳhtoñ par parinde so rahe haiñ
khulī haiñ shab ke darvāzoñ kī āñkheñ
magar ghar ke darīche so rahe haiñ
baḳhīl aisā nahīñ dekhā hai dariyā
ki ham sāhil pe pyāse so rahe haiñ
bahut zoroñ pe hai tūfān lekin
samundar meñ jazīre so rahe haiñ
ta.ajjub-ḳhez hai dariyā kā manzar
bhañvar chup haiñ kināre so rahe haiñ
maze haiñ lūTne vāloñ ke 'shāhid'
ki ahl-e-shahr saare so rahe haiñ