chhupī dil meñ jo yād-e-yār hogī
masāfat aur bhī dushvār hogī
ḳhabar kyā thī ki haa.il rāste meñ
pas-e-dīvār bhī dīvār hogī
gila inkār kā us se karūñ kyā
koī to sūrat-e-inkār hogī
use jab mānñā kuchh bhī nahīñ hai
dalālat bhī mirī be-kār hogī
mujhe ma.alūm hī kab thā ye pahle
ḳhirad ḳhud hī junūñ-āsār hogī
sar-e-mahfil mirī ātish-bayānī
kisī kā sho.ala-e-ruḳhsār hogī
vo gul mahkegā jab dil ke chaman meñ
mirī har saañs ḳhushbū-dār hogī
ġhurūr-e-sar-bulandī kyā ki ik din
na sar hogā na ye dastār hogī
mirī ḳhāk-e-badan ik roz 'shāhid'
barā.e kūcha-e-dildār hogī