Hafeez Shahid

ye rang tere shahr ke sahra mein kahan hain

Hafeez Shahid

ye rañg tire shahr ke sahrā meñ kahāñ haiñ
galiyāñ haiñ na kūche haiñ makīñ haiñ na makāñ haiñ
āñkhoñ meñ chhupā rakkhe haiñ ashkoñ ke ḳhazīne
ham ġham kī ināyāt se mahrūm kahāñ haiñ
jhalkeñge kisī roz yahī lafz-o-bayāñ meñ
ā.īna-e-ehsās meñ jo aks nihāñ haiñ
rakhte haiñ jo muḳhtārī-e-insāñ kī tamannā
majbūrī-e-insāñ pe abhī ashk-fishāñ haiñ
āñkhoñ meñ koī mauj-e-shafaq-rañg nahīñ kyoñ
dil meñ to abhī ḳhuun ke dariyā se ravāñ haiñ
taḳhlīq-e-musavvir ko zarā ġhaur se dekho
rañgoñ ke tanāsub meñ ka.ī rañg nihāñ haiñ
kyā kaam hameñ māl-o-zar-o-sīm se 'shāhid'
ham ahl-e-suḳhan ahl-e-qalam ahl-e-zabāñ haiñ
Top Urdushayar.com