Hafeez Shahid

kyun qatl ke arman mein aazar uThaen

Hafeez Shahid

kyuuñ qatl ke armān meñ āzār uThā.eñ
gardan mirī hāzir hai vo talvār uThā.eñ
roke se mirī tab-e-ravāñ ruk na sakegī
raste meñ mire laakh vo dīvār uThā.eñ
jo dil meñ tumhāre hai batā kyuuñ nahīñ dete
sadma jo uThānā hai to yakbār uThā.eñ
kyuuñ log haiñ ḳhāmosh zabūñ-hāl pe apne
āvāz sar-e-kūcha-o-bāzār uThā.eñ
ḳhud hī jo pas-e-parda-e-asrār chhupe haiñ
vo kaise bhalā parda-e-asrār uThā.eñ
nīlām jo karte haiñ yahāñ jins-e-vafā ko
mumkin hī nahīñ nāz-e-ḳharīdār uThā.eñ
ye jurm-e-mohabbat nahīñ vaa.iz kā muqaddar
ye bār-e-gunāh ham se gunahgār uThā.eñ
phirte haiñ jo āzād unheñ kaise ḳhabar ho
zindāñ meñ jo taklīf-e-giraftār uThā.eñ
'shāhid' yahī likkhā hai muqaddar meñ hamāre
sadmāt zamāne meñ lagātār uThā.eñ
Top Urdushayar.com