Hafeez Shahid

aate hain pahle lab pe sawalat KHud-baKHud

Hafeez Shahid

aate haiñ pahle lab pe savālāt ḳhud-baḳhud
phir ham ko sūjhte haiñ javābāt ḳhud-baḳhud
sochoñ meñ apne aap utartī hai raushnī
jaltī hai dil meñ mash.al-e-jazbāt ḳhud-baḳhud
jab tak na leñge fahm-o-farāsat se kaam ham
badlegī kaise sūrat-e-hālāt ḳhud-baḳhud
qasr-e-tasavvurāt meñ jab se muqīm haiñ
hotī hai roz un se mulāqāt ḳhud-ba-ḳhud
tanvīr jin kī hai mire ik ek lafz meñ
nāzil huī haiñ mujh pe vo āyāt ḳhud-ba-ḳhud
chamkā hai kis kī yaad kā sūraj ḳhayāl meñ
raushan huā hai shahr-e-ḳhayālāt ḳhud-ba-ḳhud
'shāhid' isī kā naam hai taufīq-e-aizdī
niklā zabāñ se harf-e-munājāt ḳhud-ba-ḳhud
Top Urdushayar.com