jāda-e-rāstī hī kaafī hai
mujh ko ye raushnī hī kaafī hai
is jahāñ meñ guzārne ke liye
muḳhtasar zindagī hī kaafī hai
tujh ko farzāngī mubārak ho
mujh ko dīvāngī hī kaafī hai
kyā zarūrat hai dushmanoñ kī mujhe
aap kī dostī hī kaafī hai
kyā karūñgā maiñ sīm-o-zar le kar
daulat-e-be-ḳhudī hī kaafī hai
dil ke āñgan meñ raushnī ke liye
fikr kī tāzgī hī kaafī hai
is chaman meñ ḳhizāñ-nasīboñ ko
ik kalī adh-khilī hī kaafī hai
lashkar-e-ġham se jītne ke liye
chand-roza ḳhushī hī kaafī hai
aarzū ke nihāl ko 'shāhid'
āñsuoñ kī namī hī kaafī hai