Hafeez Shahid

kisi ki yaad mein likkha hai jo kuchh

Hafeez Shahid

kisī kī yaad meñ likkhā hai jo kuchh
yahī kuchh hai mirā apnā hai jo kuchh
usī kā aks hai lafzoñ meñ mere
nazar ke sāmne duniyā hai jo kuchh
zarūrat-mand huuñ mujh ko atā kar
sakhī daatā mirā hissa hai jo kuchh
churā le jā.egī bād-e-sabā bhī
chhupā kar phuul ne rakkhā hai jo kuchh
muqaddar hai isī kā naam shāyad
mujhe vo be-talab detā hai jo kuchh
batā deñgī havā.eñ har kisī ko
lab-e-ashjār par qissa hai jo kuchh
mah-o-ḳhurshīd to kuchh bhī nahīñ haiñ
mirī miTTī kā ik zarra hai jo kuchh
kisī din vo bhī le jā.egā koī
sar-e-bāzār-e-jāñ saudā hai jo kuchh
kahāñ tak maiñ tajassus meñ rahūñgā
uThā do darmiyāñ parda hai jo kuchh
nahīñ sūjhā jo ab us kā abhī tak
kisī kī aañkh ne pūchhā hai jo kuchh
nahīñ kuchh aur paane kī tamannā
ġhanīmat hai yahāñ paayā hai jo kuchh
use tahrīr kartā jā rahā huuñ
mirī sochoñ kā afsāna hai jo kuchh
bhañvar hoñ yā ḳhas-o-ḳhāshāk 'shāhid'
hamārā hai sar-e-dariyā hai jo kuchh
Top Urdushayar.com