jhukā sake na mujhe hādse mohabbat ke
vahī huuñ maiñ to vahī silsile mohabbat ke
ye aur baat ki tum hī ne imtihāñ na liyā
sabaq to yaad the saare mujhe mohabbat ke
talāsh kar unheñ ahrām-e-misr kī sūrat
haiñ dasht-e-dil meñ ka.ī maqbare mohabbat ke
batā.ūñ maiñ tujhe anjām-e-ārzū kaise
banā rahā huuñ abhī zā.iche mohabbat ke
havā ye kaisī chalī hai sar-e-dayār-e-vafā
bujhe bujhe haiñ diloñ meñ diye mohabbat ke
na jaane kaise marāhil haiñ us jagah darpesh
ruke hue haiñ jahāñ qāfile mohabbat ke
rah-e-vafā meñ qadam dekh bhaal kar rakhnā
kuchh itne sahl nahīñ rāste mohabbat ke
kashākash-e-ġhame-duniyā se kis ko fursat hai
karūñ maiñ kis se yahāñ mashvare mohabbat ke
zarā sā bhī mujhe ḳhauf-e-ḳhizāñ nahīñ 'shāhid'
mahak rahe haiñ abhī gul-kade mohabbat ke