vo mujh meñ thā nihāñ maiñ dekhtā kyā
pas-e-dīvār-e-jāñ maiñ dekhtā kyā
kitāb-e-zindagī zer-e-nazar thī
hadīs-e-dil-barāñ maiñ dekhtā kyā
mujhe chalnā thā apne rāste par
niahān-e-raftgāñ maiñ dekhtā kyā
nazar meñ thā vo mahtāb-e-tamannā
jamāl-e-kahkashāñ maiñ dekhtā kyā
fanā kī zad pe thā bāzār-e-duniyā
yahāñ sūd-o-ziyāñ maiñ dekhtā kyā
mirī āñkheñ bharī thiiñ āñsuoñ se
sar-e-shahar-e-fuġhāñ maiñ dekhtā kyā
Thikānā thā mirā dasht-e-junūñ meñ
ḳhirad kī bastiyāñ maiñ dekhtā kyā
mirī majbūriyāñ bhī kam nahīñ thiiñ
tirī majbūriyāñ maiñ dekhtā kyā
use jab imtihāñ lenā nahīñ thā
nisāb-e-imtihāñ maiñ dekhtā kyā
mirī parvāz thī 'shāhid' falak par
zamīñ kī pastiyāñ maiñ dekhtā kyā