Hafeez Shahid

kab ka guzar chuka hai wo mausam shabab ka

Hafeez Shahid

kab kā guzar chukā hai vo mausam shabāb kā
ab zikr hai fuzūl vafā kī kitāb kā
fursat mile to dekh zarā dil kā aa.ina
is meñ hai aks tere gunāh-o-savāb kā
chup-chāp hāl-e-ahl-e-nazar dekhte raho
hai kis ke paas vaqt savāl-o-javāb kā
har shaḳhs ghir gayā hai na.e iztirāb meñ
toḌā hai jis ne qufl dar-e-iztirāb kā
rakhtā hai tere rū-e-hasīñ se mushābahat
har shāḳh par sajā hai jo chehra gulāb kā
kaafī hai us kī zaat ke irfān ke liye
mauj-e-havā ke dosh pe uḌnā sahāb kā
'shāhid' jinheñ ḳhabar hai rumūz-hayāt kī
rakhte nahīñ hisāb ġham-e-be-hisāb kā
Top Urdushayar.com