noch liye har shāḳh se patte buuTā buuTā luuT liyā
dast-e-ḳhizāñ ne chorī chorī bāġh-e-tamannā luuT liyā
us ko ḳhud hī maiñ ne apne shahr kī daulat sauñpī thī
kis se zikr karūñ ab jā kar us ne kyā kyā luuT liyā
aur to kuchh bhī paas nahīñ thā ik yādoñ kī daulat thī
zālim vaqt ne chupke chupke ye bhī asāsa luuT liyā
suukh ga.ī haiñ dhuup meñ shāḳheñ ummīdoñ armānoñ kī
mausam-e-ġham ne dil ke shajar kā pattā patā luuT liyā
apne dil ke armānoñ kā mela ek lagāyā thā
us ne apnī chhab dikhlā kar saarā mela luuT liyā
har sū bām-o-dar par chhā.e dard-o-yās ke saa.e haiñ
kis zālim ne is nagrī kā qarya qarya luuT liyā
tujh ko bhī thā 'shāhid'-e-nādāñ apne dil par naaz bahut
us ne chor ban ke āḳhir rafta rafta luuT liyā