ik qabīle se haiñ lekin rañg-o-naqsha aur hai
aur hai kāñToñ kī duniyā gul kī duniyā aur hai
ishtirāk-e-fikr ho kaise hamāre darmiyāñ
terī ḳhvāhish aur hai merī tamannā aur hai
aur hī manzar hai duniyā kā sar-e-tūr-e-nazar
chashm-e-dil ke sāmne lekin tamāshā aur hai
aarzū ke bahr-o-dariyā kī kahānī kyā kahūñ
is kā sāhil aur hai is kā kinārā aur hai
dekhnā tūfān meñ ghir kar na rah jaa.e kahīñ
nāḳhudā ye ārzuoñ kā safīna aur hai
ab badalnā hī paḌegā ye tarīq-e-zindagī
ab mirī jaañ sūrat-e-hālāt-e-duniyā aur hai
dushmanoñ kā haath is meñ hai na yāroñ kā qusūr
inqitā-e-dostī kā shāḳhsāna aur hai
zindagī ke moḌ par 'shāhid' mileñ phir kis tarah
us kā rasta muḳhtalif hai merā rasta aur hai