ajab bigḌe muqaddar ban ga.e haiñ
jo dariyā the samundar ban ga.e haiñ
zamīñ se uḌ ke zarre āsmāñ par
mah-o-parvīn-o-aḳhtar ban ga.e haiñ
sar-e-lauh-e-tasavvur kaise kaise
adhūre naqsh paikar ban ga.e haiñ
hameñ baḳhshī hai narmī mausamoñ ne
magar kuchh log patthar ban ga.e haiñ
milā hai yuuñ hameñ ġham kā ḳhazāna
hamāre ashk gauhar ban ga.e haiñ
shab-e-ġham bhūle-bisre chand chehre
charāġh-e-qalb-e-muztar ban ga.e haiñ
unheñ kyā ḳhauf ho 'shāhid' ḳhudā kā
ḳhudā jo is zamīñ par ban ga.e haiñ