Hafeez Shahid

taslim mujhko main tere pasang to nahin

Hafeez Shahid

taslīm mujh ko maiñ tire pāsañg to nahīñ
lekin tujhe nasīb mirā rañg to nahīñ
maiñ kis liye fasīl-e-badan meñ chhupā rahūñ
merī kisī ke saath koī jañg to nahīñ
ghabrā rahe ho kyuuñ mirī bastī kā fāsla
hai chand gaam saiñkaḌoñ farsañg to nahīñ
bharte ho kis liye mirī tasvīr meñ ye rañg
mauj-e-shafaq kā rañg mirā rañg to nahīñ
be-ehtiyātiyoñ se tirī TuuT jā.egā
dil ek aa.ina hai koī sañg to nahīñ
phir kyuuñ karūñ ḳhayāl kisī aur des kā
mere liye zamīn-e-vatan tañg to nahīñ
din raat apne aap se rahnā ḳhafā ḳhafā
'shāhid' guzar-basar kā koī Dhañg to nahīñ
Top Urdushayar.com