muddat huī hai vo mirā mehmāñ nahīñ huā
ghar meñ isī sabab se charāġhāñ nahīñ huā
shāmeñ udaas rāteñ bhī be-nūr haiñ bahut
vo muddatoñ se bazm-e-nigārāñ nahīñ huā
aa.egā vo zarūr mirī anjuman meñ phir
dil merā is liye bhī hirāsāñ nahīñ huā
merī anā ne raah meñ dīvār khīñch dī
is baar bhī safar mirā āsāñ nahīñ huā
is baar bhī bahār na.e zaḳhm de ga.ī
is baar bhī vo dard kā darmāñ nahīñ havā
maiñ ne bhī apnī palkeñ bhigoīñ nahīñ 'nigār'
vo bhī bichhaḌte vaqt pareshāñ nahīñ huā