dil ke mausam ko kisī taur suhānā kar de
zindagī karne kā koī to bahānā kar de
ham ko ye shahr-e-havas kaaT rahā hai kab se
ham faqīroñ kā kahīñ aur Thikānā kar de
māñgne chal to diye us se dil apnā vāpas
vo magar phir na koī taaza bahānā kar de
ahd-e-nau raas kab aayā hameñ bhī yārab
is na.e vaqt ko pahle sā purānā kar de
jo fasānoñ ko haqīqat meñ badal detā hai
ye bhī mumkin hai haqīqat ko fasāna kar de
fikr ko merī vo tāsīr atā kar yārab
mere sheroñ ko jo maqbūl-e-zamāna kar de
zindagī apnī to guzrī hai havādis meñ 'nigār'
mere bachchoñ ke muqaddar ko suhānā kar de