Nigar Azeem

guzar gaya jo zamana ajib lagta hai

Nigar Azeem

guzar gayā jo zamāna ajiib lagtā hai
ga.ī rutoñ kā fasāna ajiib lagtā hai
tum apne saath hī le jaao apnī yādoñ ko
ki chashm-e-nam kā chhupānā ajiib lagtā hai
gilā kiyā na kabhī tum se bevafā.ī kā
laboñ pe aah kā aanā ajiib lagtā hai
na haañ na huuñ na koī silsila nigāhoñ kā
ye ḳhāmushī kā fasāna ajiib lagtā hai
kabhī zamāne kī har shai se pyaar thā mujh ko
tire baġhair zamāna ajiib lagtā hai
har ek zaḳhm mirā phuul ban gayā shāyad
ki ab bahār kā aanā ajiib lagtā hai
kisī ke pyaar kā sho.ala bujhā diyā thā 'nigār'
vo sho.ala phir se jalānā ajiib lagtā hai
Top Urdushayar.com