Nigar Azeem

sirf KHaka ubhar raha hai abhi

Nigar Azeem

sirf ḳhāka ubhar rahā hai abhī
koī chehra kahāñ banā hai abhī
reza reza bikhartī āñkhoñ meñ
ghar kā sapnā basā huā hai abhī
kaise kah duuñ badal gayā mausam
zaḳhm dil meñ sajā huā hai abhī
kin rutoñ kā hisāb duuñ us ko
sabz mausam kahāñ milā hai abhī
raat aadhī guzar chukī hai magar
ik darīcha khulā huā hai abhī
sham.eñ sab bujh ga.iiñ ḳhamosh hai raat
aur dil hai ki jāgtā hai abhī
kyā mileñ tujh se tū ne ḳhud ko 'nigār'
mo'atabar hī kahāñ kiyā hai abhī
Top Urdushayar.com