Gaffar Babar

sar kiya zulf ki shab ko to sahar tak pahunche

Gaffar Babar

sar kiyā zulf kī shab ko to sahar tak pahuñche
varna ham log kahāñ husn-e-nazar tak pahuñche
aaj palkoñ pe mirī jashn-e-charāġhāñ hogā
kitne anmol guhar dīda-e-tar tak pahuñche
merī rātoñ kā añdherā bhī duā.eñ degā
ik sitāra jo utar kar mire ghar tak pahuñche
kaun kahtā hai ki ḳhurshīd utar kar aa.e
ek jugnū hī magar ḳhāk-basar tak pahuñche
jo bhī aa.e tire kūche meñ vo jaañ se guzre
sar hathelī pe uThā.e tire dar tak pahuñche
hai usī sāhib-e-me.arāj kā ehsān ki ham
ḳhaak ho kar bhī magar shams-o-qamar tak pahuñche
maiñ añdheroñ kā musāfir huuñ ujāloñ kā naqīb
kis kī jur.at hai mirī gard-e-safar tak pahuñche
uñgliyāñ pahle qalam karnā paḌeñgī 'bābar'
phir ye mumkin hai qalam harf-e-hunar tak pahuñche
Top Urdushayar.com