pahlī sī chāhatoñ ke vo manzar nahīñ rahe
āshiq to be-shumār haiñ dilbar nahīñ rahe
is ahd-e-nau meñ aur to sab kuchh milā magar
sharm-o-hayā ke qīmtī zevar nahīñ rahe
ye phuul ye charāġh ye tāroñ kā qāfila
sab kuchh hai tere ḳhvāb ke paikar nahīñ rah
dil ke nagar meñ qaid haiñ chāhat kī bulbuleñ
vo mausam-e-bahār ke manzar nahīñ rahe
laa.ī thī jitnī sīpiyāñ sab bāñjh ho ga.iiñ
hairān huuñ kisī meñ bhī gauhar nahīñ rahe
maiñ ne 'nigār' sāñseñ bhī kar diiñ thī jin ke naam
vo ek pal ko bhī mire ho kar nahīñ rahe