Nigar Azeem

zat ki sair pe niklun meri himmat hi nahin

Nigar Azeem

zaat kī sair pe niklūñ mirī himmat hī nahīñ
is bayābāñ se guzarne kī jasārat hī nahīñ
zindagī maiñ ne qanā.at kā hunar siikh liyā
ab tire naaz uThāne kī zarūrat hī nahīñ
koī shikva na shikāyat na sitam hai na jafā
ek muddat se tirī ham pe ināyat hī nahīñ
jab bhī milte haiñ chamak uThtī haiñ āñkheñ un kī
aur da.avā hai unheñ ham se mohabbat hī nahīñ
dil to kyā chiiz hai patthar bhī pighal jaa.e magar
jazba-e-ishq meñ tere vo harārat hī nahīñ
apne ashkoñ se banā dete bayābāñ ko chaman
kyā kareñ ham ko to rone kī ijāzat hī nahīñ
mo'atabar bhī vahī arbāb-e-nazar meñ Thahrī
jis kahānī meñ koī harf-e-sadāqat hī nahīñ
us kī yaad aa.ī hai mat chheḌ mujhe bād-e-sabā
tujh se phir baat karūñgī abhī fursat hī nahīñ
gulshan-e-dil pe ḳhizāoñ kā tasallut hai 'nigār'
koī ḳhvāhish koī armāñ koī chāhat hī nahīñ
Top Urdushayar.com