jazba-e-ishq phir machaltā hai
Dhalte Dhalte ye chāñd Dhaltā hai
pūchhtī phir rahī hai os abhī
phuul kab pairahan badaltā hai
maiñ to chaltā huuñ terī yaad ke saath
rāsta mere saath chaltā hai
tere āñgan meñ shab utartī hai
terī khiḌkī se din nikaltā hai
ḳhushbueñ ḳhushbuoñ se miltī haiñ
kis liye phuul haath maltā hai
laakh nāzuk sahāre hoñ lekin
girne vaalā kahāñ sambhaltā hai
ārzūoñ kī fasl dil meñ hai
chashma āñkhoñ se kyuuñ ubaltā hai
ham jhulas to rahe haiñ ai jānāñ
terā sūraj bhī to pighaltā hai
raa.e ham ko badalnī paḌtī hai
vaqt kab faisla badaltā hai