Afzal Minhas

kanch ki zanjir TuTi to sada bhi aaegi

Afzal Minhas

Chakwal, Punjab, Pakistan

1923-1997
kāñch kī zanjīr TuuTī to sadā bhī aa.egī
aur bhare bāzār meñ tujh ko hayā bhī aa.egī
itr meñ kapḌe basā kar mutma.in hai kis liye
bā-vafā hū jā ki yuuñ bū-e-vafā bhī aa.egī
dekh le sāhil se jī bhar ke machaltī lahr ko
is taraf kuchh der meñ mauj-e-fanā bhī aa.egī
dūdhiyā nāzuk gale meñ bāñdh le ta.avīz ko
aaj suntā huuñ ki bastī meñ balā bhī aa.egī
raat ke pichhle pahar dastak kā rakh lenā ḳhayāl
patte khaḌkeñge zarā āvāz-e-pā bhī aa.egī
ujlī ujlī ḳhvāhishoñ par niiñd kī chādar na Daal
yaad ke rauzan se kuchh taaza havā bhī aa.egī
jā chuke saare bagūle fikr kī kyā baat hai
khet ko sairāb karne ab ghaTā bhī aa.egī
daur ke logoñ ko nazroñ meñ basā kar dekh le
qurb mil jā.egā āñkhoñ meñ jilā bhī aa.egī
shahr-e-nā-pursāñ ke manzar naqsh kar le zehn meñ
aañkh raste meñ koī manzar girā bhī aa.egī
dil kī masjid meñ kabhī paḌh le tahajjud kī namāz
phir sahar ke vaqt hoñToñ par duā bhī aa.egī
zindagī kā ye maraz 'afzal' chalā hī jā.egā
tere hāthoñ meñ kabhī ḳhāk-e-shifā bhī aa.egī
Top Urdushayar.com