Afzal Minhas

miTte hue nuqush-e-wafa ko ubhaariye

Afzal Minhas

Chakwal, Punjab, Pakistan

1923-1997
miTte hue nuqūsh-e-vafā ko ubhāriye
chehroñ pe jo sajā hai mulamma.a utāriye
milnā agar nahīñ hai to zaḳhmoñ se fā.eda
chhup kar mujhe ḳhayāl ke patthar na māriye
koī to sarzanish ke liye aa.e is taraf
baiThe hue haiñ dil ke makāñ meñ juvāriye
hāthoñ pe nāchtī hai abhī maut kī lakīr
jaise bhī ho ye ziist kī baazī na hāriye
shikva na kījiye abhī apne nasīb kā
sāñsoñ kī tez aañch pe har shab guzāriye
mismār ho ga.ī haiñ falak-bos chāhateñ
shahar-e-jafā se ab na mujhe yuuñ pukāriye
phūloñ se tāzgī kī harārat ko chhīn kar
mausam ke zahr ke liye gulshan sañvāriye
rusvā.iyoñ kā hogā na ab sāmnā kabhī
jaldī se aarzū ko lahad meñ utāriye
'afzal' ye tīrgī ke musāfir kahāñ chale
jī chāhtā hai in pe ka.ī chāñd māriye
Top Urdushayar.com