Afzal Minhas

sau hath uThe karb ki KHushbu ko churane

Afzal Minhas

Chakwal, Punjab, Pakistan

1923-1997
sau haath uThe karb kī ḳhushbū ko churāne
kyā zaḳhm lagā.e haiñ mire tan pe havā ne
raste meñ koī peḌ jo mil jaa.e to baiThūñ
vo baar uThāyā hai ki dikhne lage shāne
āñkhoñ meñ basī thī tire chehre kī tamāzat
chalne na diyā raah meñ zanjīr-e-sadā ne
chehre the ki marqad kī tarah nauha-ba-lab the
kyā kyā na rulāyā mujhe mānūs fazā ne
naġhmoñ ke ta.āqub meñ na jaao ki abhī tak
insāñ ko mayassar hī nahīñ hoñT hilāne
kyuuñ itne pareshān ho unvāñ kī talab meñ
kirdār mukammal ho to bante haiñ fasāne
āñkhoñ ke jharokoñ se kise DhūñD rahe ho
har naqsh miTā Daalā hai sahrā kī havā ne
duniyā meñ yahī soch ke zinda huuñ maiñ 'afzal'
ehsās to baḳhshā hai mujhe mere ḳhudā ne
Top Urdushayar.com