jo shaḳhs bhī milā hai vo ik zinda laash hai
insāñ kī dāstān baḌī dil-ḳharāsh hai
dāman darīda qalb-o-nazar zaḳhm zaḳhm haiñ
ab shahr-e-ārzū meñ yahī būd-o-bāsh hai
bas ab to rah ga.ī hai dikhāve kī zindagī
sāñsoñ ke taar taar meñ ek irti.āsh hai
miTTī ne pī liyā hai harārat bharā lahū
josh-e-numū milā to badan qaash qaash hai
kāñToñ ne bhī ḳhizāñ kī ġhulāmī qubūl kī
dekho to aaj chehra-e-gul pur-ḳharāsh hai
vo daur ab kahāñ ki tumhārī ho justujū
is daur meñ to ham ko ḳhud apnī talāsh hai
'afzal' vo ban sañvar ke to aa jā.eñge kabhī
ā.īna-e-hayāt magar paash paash hai