Afzal Minhas

ek paikar yun chamak uTTha hai mere dhyan mein

Afzal Minhas

Chakwal, Punjab, Pakistan

1923-1997
ek paikar yuuñ chamak uTThā hai mere dhyān meñ
koī jugnū uḌ rahā ho jis tarah tūfān meñ
har bagūla bastiyoñ kī samt lahrāne lagā
āshnā chehre bhī ab aate nahīñ pahchān meñ
kyā qayāmat hai ki koī pūchhne vaalā nahīñ
zindagī tanhā khaḌī hai hashr ke maidān meñ
vaqt paḌte hī hue rū-posh sab halqa-ba-gosh
ik yahī ḳhūbī to hai is daur ke insān meñ
aa.ine yādoñ ke maiñ ne toḌ Daale the magar
chand chehre phir ubhar aa.e mire vijdān meñ
log merī maut ke ḳhvāhāñ haiñ 'afzal' kis liye
chand ġhazloñ ke sivā kuchh bhī nahīñ sāmān meñ
Top Urdushayar.com