gum-sum havā ke peḌ se lipTā huā huuñ meñ
katbe pe apne haath se likkhā huā huuñ maiñ
āñkhoñ meñ vasvasoñ kī na.ī niiñd bas ga.ī
so jā.ūñ ek umr se jaagā huā huuñ maiñ
yārab ragoñ meñ ḳhuun kī hiddat nahīñ rahī
yā karb kī salīb pe laTkā huā huuñ maiñ
apnī bulandiyoñ se girūñ bhī to kis tarah
phailī huī fazāoñ meñ bikhrā huā huuñ maiñ
patte gire to aur bhī aaseb ban ga.e
vo shor hai ki ḳhud se bhī sahmā huā huuñ maiñ
shāḳhoñ se TūTne kī sadā duur tak ga.ī
mahsūs ho rahā hai ki TuuTā huā huuñ maiñ
vo aag hai ki saarī jaḌeñ jal ke rah ga.iiñ
vo zahr hai ki phuul se kāñTā huā huuñ maiñ
kaTte hue tane kā bhī nochā gayā libās
gir kar zamīñ pe aur bhī rusvā huā huuñ maiñ
'afzal' maiñ sochtā huuñ ye kyā ho gayā mujhe
miTTī milī to aur bhī chaTḳhā huā huuñ maiñ