maiñ apne dil meñ na.ī ḳhvāhisheñ sajā.e hue
khaḌā huā huuñ havā meñ qadam jamā.e hue
na.e jahāñ kī tamannā meñ ghar se niklā huuñ
hatheliyoñ pe na.ī mish.aleñ jalā.e hue
havā ke phuul mahakne lage mujhe pā kar
maiñ pahlī baar hañsā zaḳhm ko chhupā.e hue
na āñdhiyāñ haiñ na tūfāñ na ḳhuun ke sailāb
haiñ ḳhushbuoñ meñ manāzir sabhī nahā.e hue
pighal ga.ī haiñ achānak ġhamoñ kī zanjīreñ
gire haiñ dhuup ke neze badan churā.e hue
dikhā rahī hai na.ī zindagī ke naqsh-e-qadam
sukūñ kī niiñd gale se mujhe lagā.e hue
chaTaḳhne vaalī zamīñ duur rah ga.ī 'afzal'
haiñ saare khet sitāroñ ke lahlahā.e hue