chup rahe to shahr kī hañgāma ārā.ī milī
ab agar khole to ham ko qaid-e-tanhā.ī milī
zindagī kī zulmateñ apne lahū meñ rach ga.iiñ
tab kahīñ jā kar hameñ āñkhoñ kī bīnā.ī milī
mausam-e-gul kī na.ī taqsīm hairāñ kar ga.ī
zaḳhm phūloñ ko mile kāñToñ ko ra.anā.ī milī
sat.h-e-dariyā par ubharne kī tamannā hī nahīñ
arsh par pahuñche hue haiñ jab se gahrā.ī milī
dūsroñ ko sañg-e-dil kahnā baḌā āsān thā
ḳhud ko jab dekhā to apnī aañkh pathrā.ī milī