vaise to kam hī miyāñ ahl-e-junūñ rote haiñ
dekhne vaale samajhte haiñ ki ḳhuuñ rote haiñ
pūchhne vaale ba-zid haiñ ki batāyā jaa.e
rone vāloñ ko nahīñ yaad ki kyuuñ rote haiñ
mujh se mat pūchh ki tafrīq nahīñ kar saktā
maiñ to hañste hue logoñ ko kahūñ rote haiñ
vo bahut ḳhush hai nayā ghar hai nayā shahr magar
gaañv meñ us kī havelī ke sutūñ rote haiñ
tum ko ham jaise magar ḳhush hī nazar ā.eñge
ye jo ham jaise haiñ āñkhoñ ke darūñ rote haiñ
us kī āñkhoñ ko kahāñ aatā thā ronā 'sāhir'
maiñ ne phir ro ke dikhāyā thā ki yuuñ rote haiñ