Afsar Merathi

aks hai be-tabiyon ka dil ki armanon mein kyun

Afsar Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1895-1958
aks hai be-tābiyoñ kā dil kī armānoñ meñ kyuuñ
be-zabāñ shāmil hue jaate haiñ mehmānoñ meñ kyuuñ
ho ga.e dīvāne ruḳhsat bastiyoñ kī samt kyā
chhā ga.iiñ vīrāniyāñ sī phir bayābānoñ meñ kyuuñ
dil kī us be-raunaqī kā zikr jaane dījiye
ho rahī haiñ bastiyāñ tabdīl vīrānoñ meñ kyuuñ
hai raqābat juzv-e-lāzim mehr-o-ulfat kā agar
ijtimā.ī ishq phir hotā hai parvānoñ meñ kyuuñ
kyā kisī kuTiyā ke andar jaag uThī hai zindagī
khalbalī sī paḌ ga.ī mahloñ meñ aivānoñ meñ kyuuñ
bīḳh-kun the jo sitam-rānoñ ke kal tak ai nadīm
ho rahā hai ab shumār un kā sitam-rānoñ meñ kyuuñ
amn ke ḳhvāhāñ haiñ jab 'afsar' jahāñ vaale tamām
kashmakash rahtī hai phir itnī jahāñ-bānoñ meñ kyuuñ
Top Urdushayar.com