Jahanzeb Sahir

rang se rang milata hua jata hua tu

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
rañg se rañg milātā huā jaatā huā tū
kahkashāñ ek banātā huā jaatā huā tū
duur se terī taraf bhaag ke aatā huā maiñ
duur se haath hilātā huā jaatā huā tū
aage aage maiñ ḳhad-o-ḳhāl banātā jā.ūñ
pīchhe pīchhe vo miTātā huā jaatā huā tū
sone vāloñ ko na.e ḳhvāb muhayyā kar ke
sabz qindīl jalātā huā jaatā huā tū
paañv paḌtā huā rotā huā girtā huā maiñ
aur mirā haath chhuḌātā huā jaatā huā tū
merī ḳhvāhish thī ki barbād karūñ maiñ ḳhud ko
merī ḳhvāhish kā batātā huā jaatā huā tū
saḳht māyūs pashemān guzartā huā maiñ
muskurātā huā gaatā huā jaatā huā tū
jitnī āñkheñ haiñ vo hairān huī jaatī haiñ
aur mire sher sunātā huā jaatā huā tū
jaise nākām koī shaḳhs ho vaise 'sāhir'
ek cigarette ko jalātā huā jaatā huā tū
Top Urdushayar.com