lamhoñ meñ ek umr kī mehnat ḳharāb kī
is dhuup ne makān kī rañgat ḳharāb kī
raste meñ phuul dekh ke ham log Dar ga.e
kis ne hamāre paañv kī aadat ḳharāb kī
ujlat-pasand haath meñ aa.e hue the ham
kuchh gāhakoñ ne pūchh ke qīmat ḳharāb kī
ya.anī maiñ us ke ba.ad bhī ḳhush huuñ ye soch kar
kamre kī jān-būjh ke hālat ḳharāb kī
vaise ye ishq kaun sā likkhā thā baḳht meñ
ham ne to apnī aap hī qismat ḳharāb kī
kis ne hamāre naam pe beche haiñ qahqahe
kis ne hamāre naam kī shohrat ḳharāb kī
tañg aa ke āsmāñ se nikālā gayā hameñ
thoḌī bahut jo thī yahāñ vaq.at ḳharāb kī
'sāhir' junūn-e-shauq meñ kyā kyā nahīñ kiyā
miTTī palīd kī kabhī izzat ḳharāb kī