Jahanzeb Sahir

luTne walon ka madad-gar nahin hai koi

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
luTne vāloñ kā madad-gār nahīñ hai koī
is qabīle kā bhī sardār nahīñ hai koī
maiñ vo mahrūm-e-tamannā huuñ ki jis kī ḳhātir
bharī bastī meñ azādār nahīñ hai koī
shāh-zādī tirī āñkhoñ meñ ye dahshat kaisī
phuul haiñ haath meñ talvār nahīñ hai koī
dil kisī vaqt kisī par bhī fidā ho jaa.e
ye vo kashtī hai ki patvār nahīñ hai koī
aañkh meñ ashk nahīñ haiñ to yahī lagtā hai
ik sitārā bhī numūdār nahīñ hai koī
mujh ko is baat se aatā hai bahut ḳhauf yahāñ
sab farishte haiñ gunahgār nahīñ hai koī
dekh ye zaḳhm tarāshe hue lagte haiñ tujhe
tū samajhtā hai mirā yaar nahīñ hai koī
ik ḳhalā aur bahut gahrā ḳhalā hai 'sāhir'
dekh aayā huuñ maiñ us paar nahīñ hai koī
Top Urdushayar.com