vo chāñd-rut ke hasīn lamhoñ kī shā.irī hai
ki us kī bāteñ hazār sāloñ kī shā.irī hai
ye ḳhushk patte ki jaise rāhoñ meñ lafz bikhre
udaas mausam meñ in daraḳhtoñ kī shā.irī hai
hamārī āñkheñ udaas ġhazloñ ke qāfiye haiñ
hamārā chehra purāne vaqtoñ kī shā.irī hai
tumhārā hañsnā hamārī nazmoñ kī ibtidā thī
hamārā ronā tumhārī āñkhoñ kī shā.irī hai
ye sirf harfoñ kī tāb-kārī kā zahr kab hai
ḳhudā ke bando ye ham ġharīboñ kī shā.irī hai