ḳhushī bhī kis ne kahā vaj.h-e-ġham nahīñ hotī
batā vo shaam jo shām-e-alam nahīñ hotī
ham us jagah pe kirā.e ke ghar meñ rahte haiñ
hamārī raa.e kabhī mohtaram nahīñ hotī
tire ḳhayāl ke aate hī lauTne se lagā
har ek chiiz udāsī meñ zam nahīñ hotī
jhuke hue haiñ ye sar to kisī musībat meñ
ye ik faqīr kī gardan hai ḳham nahīñ hotī
jo tere saath mohabbat thī mar ga.ī hai vo
magar jo tujh se aqīdat hai kam nahīñ hotī
maiñ apne dukh meñ barābar sharīk huuñ lekin
bas ek mas.ala hai aañkh nam nahīñ hotī
batā rahī haiñ parindoñ kī hijrateñ 'sāhir'
koī tabāhī kabhī ek dam nahīñ hotī