Jahanzeb Sahir

ye bebasi to umuman hi sath hoti hai

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
ye bebasī to umūman hī saath hotī hai
hamāre sāmne jab us kī zaat hotī hai
har ek baat ki jis meñ tumhārā zikr nahīñ
vo jaise dūsre maslak kī baat hotī hai
hamāre gaañv meñ sūraj ġhurūb ho ki na ho
kisī ke aañkh lagāne se raat hotī hai
mire hurūf mirā zabt noch khāte haiñ
tire ḳhayāl kī jab vārdāt hotī hai
ajab tarah se maiñ sab ko pachhāḌtā huuñ magar
ajab tarah se hamesha hī maat hotī hai
ye ḳhāmushī hai tirī aañkh kī fusūñ-kārī
ye lafz tere laboñ kī zakāt hotī hai
bas itnā soch ke 'sāhir' maiñ us se kahtā nahīñ
ki us ke dhyān meñ shāyad vo baat hotī hai
Top Urdushayar.com