Jahanzeb Sahir

faqir mauji KHarab haalon ka kya banega

Jahanzeb Sahir

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1983
faqīr maujī ḳharāb hāloñ kā kyā banegā
ye ishq kartī udaas nasloñ kā kyā banegā
hamāre purkhoñ ne ham se behtar guzār lī hai
maiñ sochtā huuñ hamāre bachchoñ kā kyā banegā
hamāre jismoñ kā ḳhaak honā to Thiik hai par
tumhārī āñkhoñ tumhāre hoñToñ kā kyā banegā
hameñ to rone meñ koī diqqat nahīñ hai lekin
vo pūchhnā thā ki rone vāloñ kā kyā banegā
mazāq uḌāte haiñ log farzī kahāniyoñ kā
ki sīdhe-sāde se un buzurgoñ kā kyā banegā
talāsh kartī haiñ is badan kī bashāratoñ ko
haqīr sochoñ harīs bāñhoñ kā kyā banegā
vo husn aise hī ḳharch hotā rahā to sāhir
hamārī nazmoñ hamārī ġhazloñ kā kyā banegā
Top Urdushayar.com