yaas hai hasrat hai ġham hai aur shab-e-dījūr hai
itne sāthī haiñ magar tanhā dil-e-ranjūr hai
terā jaanā thā ki ġham-ḳhāne pe vahshat chhā ga.ī
maiñ ye samjhā thā mire ghar se bayābāñ duur hai
shab kī ḳhāmoshī meñ hai terā tasavvur terī yaad
haa.e kyā sāmān-e-taskīn-e-dil-e-ranjūr hai